Wasi Shah



Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi
Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi

wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi
Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi

Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum
Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi

Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat WASI
katra katra baras rahi hai ashkon ki barsaat WASI

tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar dein ge
khushbu k dais mein le chal mujhko saath WASI

yun hi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baitho ge ?
kkhamoshi se dam ghut-ta hai, chero koi baat Wasi

aaj to usska chehra b kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat WASI

mere ghar khushboo ka ye raqs ussi k dam se hai
uss k saath chali jaye gi phoolon ki barsaat WASI

chor WASI ab usski yaadien tujhko pagal kar dein gi
tu qatra hai wo darya hai dekh apni aukaat WASI

Sari Raat Ki Jagi Aankhein
College Mein Kya Parhti Hon Gi
Yunhi Khoye Dil Hi Dil Mein
Jane Kya Kya Karti Hon Gi
 Sari Raat Ki Jagi Aankhein
Koi Bole Kaan Na Dharna
Koi Hile Tu Ik Dam Darna
Koi Dekhe In Ka Barhna
Apne Aap Se Larti Hun Gi
Sari Raat Ki Jagi Aankhein
Apni Kitabain Parhte Rhena
Us Ki Batain Karte Rehna
Us Ki Yaadain Gharte Rehna
Jeete Jeete Marti Hun Gi
Sari Raat Ki Jagi Aankhein
College Mein Kya Parhti Hon Gi

Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,
mai ke hun sadyyon se adhura mukammal kardo,

Na tumhe Hosh rahe na mujhe Hosh rahe,
is Qadar toot ke chaho mujhe Paagal kardo,

tum Hatheli ko apni mere pyar ki Mehndi ye rango,
apni Ankhonn mai mere pyar ka Kajol kardo,

Dhoop hi Dhoop hun mai toot ke barso mujh par,
mai to Sehry hun mujhe Pyar ka Baadal kardo,

iske Sayye se mere Khaywaab Mehak uthenge,
mere Chehre pe Umeed Bhara anchal kardo,

apne hontoon ki koi Mohar lagao mujh par,
ik Nazar pyar se dekho mujhe Ghayal kardo

kash main teray haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty
marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta
tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha
main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota






No comments:

Post a Comment

comment here