Perveen shakir

Baad Mudat Usay Dekha Logo
Wo Zara Bi Nahi Badla Logo

Khush Na Tha Muj Se Bichar Kar Wo Bi
Us Ke Chehray Par Likha Tha Logo

Us Ke Aankhain Bi Kehay Deti Thi
Raat Bhar Wo Bi Na Soya Logo

Ajnabi Ban Kar Jo Guzra Hai Abi
Tha Kis Waqt Main Apna Logo

Dost Tu Khair Koi Kisi Ka Hai
Us Ne Dushman Bi Na Smjha Logo

Raat Wo Dard Mere Dil Me Utha
Subah Tak Chain Na Aya Logo

Pyas Sehraon Ki Phir Taiz Hoyi
Abr Phir Tot Ke Barsa Logo
Parveen Shakir:

Mere paas se woh guzra, Mera haal tak na poocha
Mai yeh kaisey maan jaon, Kay wo door ja k roya

Ahmed Fraz:

Tere paas se jo guzrey, Bekhudi mai they Faraz
Thori door ja k sanmbhley, Tujhey yaad kar k roye



Ahmed Fraz:

Usey hum yaad aatey hain lekin fursat k lamhon mai..!!
Magar yeh baat bhi such hai, Usey fursat nahi milti

Parveen Shakir:

Hum yeh tasleem kartey hain, Hamey fursat nahi milti..!!
Magar yeh bhi zara socho,
Tumhey jab yaad kartey hain, Zamana Bhool jatey hain


1 comment:

comment here